menu-iconlogo
logo

Deewana Dil Deewana

logo
Paroles
Deewana dil deewana

Deewana tera deewana

Kab se kare hai tera intezar

Kab aayegi meri jaan-e-bahaar

Kab se kare hai tera intezar

Kab aayegi meri jaan-e-bahaar

Ke jitna hi behlaaoon

Yeh utna hi machalta hai dil

Deewana dil deewana

Deewana tera deewana

Andaz dikhlaati sau sau tarah ke

Jalwe lutaati huyi

Andaz dikhlaati sau sau tarah ke

Jalwe lutaati huyi

Aati hogi mausam ke sath

Gulshan khilati huyi

Aa bhi ja ab jaan-e-jaan

Deewana dil deewana

Kab se kare hai tera intezar

Kab aayegi meri jaan-e-bahaar

Ke jitna hi behlaaoon

Yeh utna hi machalta hai dil

Dil se laga karke rakha hai ab tak

Resham ka tera rumal

Dil se laga karke rakha hai ab tak

Resham ka tera rumal

Aage kahoon kya jaan-e-man

Aa dekh ja mera haal

Aa bhi ja ab jaan-e-jaan

Deewana dil deewana

Toota sitara to, maanga tha Rab se

Tujhko hi jaan-e-wafaa

Toota sitara to, maanga tha Rab se

Tujhko hi jaan-e-wafaa

Jo toot jaayein taare tamaam

Maangun wohi ek dua

Aa bhi ja ab jaan-e-jaan

Deewana dil deewana

Kab se kare hai tera intezar

Kab aayegi meri jaan-e-bahaar

Kab se kare hai tera intezar

Kab aayegi meri jaan-e-bahaar

Ke jitna hi behlaaoon

Yeh utna hi machalta hai dil

Deewana dil deewana

Deewana tera deewana