Kehne Ko Jashn E Bahaaraa Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Kehne Ko Jashn E Bahaaraa Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Phool Se Khushboo
Khafa Khafa Hai Gulshan Mein
Chhupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Mein
Saare Sehme Nazaare Hain
Soye Soye Waqt Ke Dhare Hain
Aur Dil Mein Khoyi Khoyi Si Baatein Hain
Kehne Ko Jashn E Bahaaraa Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Phool Se Khushboo
Khafa Khafa Hai Gulshan Mein
Chhupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Mein
Kaise Kahen Kya Hai Sitam
Sochte Hain Ab Yeh Hum
Koi Kaise Kahe Woh Hain Ya Nahin Humare
Karte To Hain Saath Safar
Faasle Hain Phir Bhi Magar
Jaise Milte Nahin
Kisi Dariya Ke Do Kinare
Paas Hain Phir Bhi Paas Nahin
Humko Yeh Gham Raas Nahi
Sheeshe Ki Ek Deewar Hai Jaise Darmiyan
Saare Sehme Nazaare Hain
Soye Soye Waqt Ke Dhare Hain
Aur Dil Mein Khoyi Khoyi Si Baatein Hain
Kehne Ko Jashn E Bahaaraa Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Phool Se Khusboo
Khafa Khafa Hai Gulshan Mein
Chhupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Mein
Humne Jo Tha Nagma Suna
Dil Ne Tha Usko Chuna
Yeh Dastaan Humein Waqt Ne Kaise Sunai
Hum Jo Agar Hain Ghamgin
Woh Bhi Udhar Khush To Nahi
Mulakaton Mein Jaise Ghul Si Gai Tanhaai
Milke Bhi Hum Milte Nahin
Khilke Bhi Gul Khilte Nahin
Aankhon Mein Hain Bahaarein
Dil Mein Khizaan
Saare Sehme Nazaare Hain
Soye Soye Waqt Ke Dhare Hain
Aur Dil Mein Khoyi Khoyi Si Baatein Hain
Kehne Ko Jashn E Bahaaraa Hai
Ishq Yeh Dekhke Hairaan Hai
Phool Se Khushboo
Khafa Khafa Hai Gulshan Mein
Chhupa Hai Koi Ranj Fiza Ki Chilman Mein