Door kaheen pe main le ke chaluun tum ko
Aur vaheen pe main chhoo ke kahoon tum ko
Pal-bhar ka nahin, janmon ka hai
Duniyaa se alag ye rishta hai
Tumhein pyaar karunga main itana
Koyi kar naa sakegaa jitna
Jo bhee tha, vo kah to diya hai
Kuch tum bhee zaraa kah do naa
Muje itana yaqeen bas de do
Ye pyaar kabhi kam ho naa
Jo bhee tha, vo kah to diya hai
Kuch tum bhee zaraa kah do naa
Is duniyaa mein hum-tum donon
Honge naa kal, bas yahi sach hai
Log yahaan aate-jaate hain
Rah jaatee bas chaahat hai
Is pal main saath tumhaare hoon
Baaqi to apanee qismat hai
Kabhi door chalaa jaaoon to
Awaz muje tum denaa
Jo bhee tha, vo kah to diya hai
Kuch tum bhee zaraa kah do naa
Tumhein pyaar karunga main itana
Koyi kar naa sakegaa jitna
Jo bhee tha, vo kah to diya hai
Kuch tum bhee zaraa kah do naa