menu-iconlogo
logo

Aanan Faanan (Mehfil Mix)

logo
Paroles
Annan Faanan hua kya se kya

Mein jaanemaan hua kya se kya

Dhadka dhadka dhadka sa dil Kheta hai yeh fasana

Tadpa tadpa tadpa sa dil Chahe tere pass aana

Ek pal toh mujhe dekhati sharmaayi thi aankhein

Aankhon se gujarata huwa muskaan ka saaya

Shaayad meri khaamoshi ne hai keh diya tumse

Woh raaj jo main tumse kabhi keh nahi paaya

Aanan Faanan Hua kya se kya

Mai jaaneman hua kya se kya

Aanan Faanan Hua Kya Se Kya

O_ mai jaaneman hua kya se kya

Dhadka dhadka dhadka sa dil Kheta hai yeh fasana

Tadpa tadpa tadpa sa dil Chahe tere pass aana

Annan Faanan hua kya se kya

Yeh jaaneman hua kya se kya

Dhadka dhadka dhadka sa dil Kheta hai yeh fasana

Tadpa tadpa tadpa sa dil Chahe tere pass aana

Annan Faanan hua kya se kya,

Kal kya hoga ye mat socho

Tum ye dekho, ki shaam ke daaman mein kya hai

Madham madham si roshaniyon mein,

dhun pe machalate jismon par halki si damak

Lehraati huyi sandal baahein Balkhaati huyi resham julfein

Yeh ang ang, ye jhalak jhalak,

sheeshon ki khanak

Sheeshon ko chhute naazuk labz,

jinme shaam ki surkhi hai

Hirani si vaishi aankhon mein anjaane se paigaam basein.

Koi dekhke inko behake to ilzaam kise

In lamhon ke pyaalon mein jitni masti hai Saari ki saari tum pi lo

Is shaam ko ji bharke jilo

Kal jo bhi hoga dekhenge,

Teri mohabbat hi Meri parastish hai

Meri tu ho jaaye Meri yeh koshish hai

Sun le meri tamana

Tumhe meri hi baana

Aye meri neelam pari Dekh meri yeh baahen

Dekh le yeh nigaahen Hai kitni pyaar bhari,

Dhadka dhadka dhadka sa dil Kheta hai yeh fasana

Tadpa tadpa tadpa sa dil Chahe tere pass aana

Annan Faanan hua kya se kya

Mujhko teri aawaaz se khushboo aati hai Aur khushboo mein rang dikhaayi dete hai

Tu jab nahi hai tab bhi tu hai saath mere

Milon se chhute hai tujhko haath mere

Woh jo teri saanson mein hai ghulein huye

Kahin rahoon woh geet sunaayi dete hai

Baadal, titli, kaliyaan, lehrein, phool, hawaan

Yeh sab tere roop dikhaayi dete hain

Main hoon, tera naam hain, teri baatein hain Har pal dohraata tera afsaana hoon Mujhko to abb hosh nahin hain

Tu hi bata,

sab kehte hain main tera deewaana hoon,

Dil Jise dhoondhe hai Tu wohi dilkash hai Dil jise maange hai Tu wohi Mehmash hai

Tujko ek din hai pana Dil ka yeh hai tarana

Har subah har shaam hai

Tujko hi yaaad karna Teri hi baat karna Mera yehi kaam hai

Dhadka dhadka dhadka sa dil Kheta hai yeh fasana

Tadpa tadpa tadpa sa dil Chahe tere pass aana

Annan Faanan hua kya se kya Mein jaanemaan hua kya se kya

Dhadka dhadka dhadka sa dil Kheta hai yeh fasana

Tadpa tadpa tadpa sa dil Chahe tere pass aana

Aanan Faanan Hua Kya Se Kya

Main Jaaneman Hua Kya Se Kya

...End...

Aanan Faanan (Mehfil Mix) par Jayesh Gandhi - Paroles et Couvertures