menu-iconlogo
logo

Dil Galti Kar Baitha Hai (Feat. Mouni Roy)

logo
Paroles
Ye humne soch rakha tha, mohabbat na karenge hum

Kisi ko dil nahin denge, kisi pe na marenge hum

Tumhaari mast aankhon ne ye kaisa haal kar daala

Ki ye dil cheez kya hai, maang lo to jaan denge hum

Palat ke ishq ki galiyon se jaana hai badaa mushkil

Dil galti kar baitha hai, galti kar baitha hai dil

Dil galti kar baitha, ab bol hamaara kya hoga?

Bol hamaara, hamaara, bol hamaara, hamaraa...

(Bol hamaara) o, yaara, bol hamaara kya hoga?

Khaamoshiyaan sunte kab tak rahenge hum?

Mauqa hai, honthon se aaj kuch to kaho

Badi mukhtasar si hai ye zindagi, yaara

Zaraa paas aa jaao, sochte na raho

Tum apna lo ya thukra do, tumhein haq faisla ka hai

Humein kya poochte ho tum? hamaare haath mein kya hai?

Ki hum to kar chuke, jaana, tumhein har saans mein shaamil

Dil galti kar baitha hai, galti kar baitha hai dil

Dil galti kar baitha hai, galti kar baitha hai dil

Dil galti kar baitha, ab bol hamaara kya hoga?

Bol hamaara, hamaara, bol hamaara, hamaraa...

(Bol hamaara) o, yaara, bol hamaara kya hoga?

Dil galti kar baitha hai, galti kar baitha hai dil

Ki pahle-pahle hon gayi (hum se deedaar ki galti)

Dobaara kar gaye hum (be-iraada pyaar ki galti)

Humein zid thi, tumhaare ishq mein hum qatl ho jaayein

To tum pe mar mitaa ye dil (aakhiri baar ki galti)

Kahaan aashiq koyi hum sa, kahaan tum sa koyi qaatil

Dil galti kar baitha hai, galti kar baitha hai dil

Dil galti kar baitha hai, galti kar baitha hai dil

Dil galti kar baitha, ab bol hamaara kya hoga?

Bol hamaara (aaha), hamaara, bol hamaara (aaha), hamaara...

Bol hamaara (aaha), o, yaara, bol hamaara kya hoga?

Dil galti kar baitha hai, galti kar baitha hai dil

Dil galti kar baitha hai, galti kar baitha hai dil

Dil galti kar baitha, haay

Dil Galti Kar Baitha Hai (Feat. Mouni Roy) par Jubin Nautiyal/Meet Bros/Shardul Rathod - Paroles et Couvertures