ji haan main hoon khalnayak
nayak nahin khalnayak hai tu
nayak nahin khalnayak hai tu
zulmi bada dukhdaayak hai tu
iss pyaar ki tujhko kya kadar
iss pyaar ke kahaan laayak hai tu
nayak nahin khalnayak hoon main
nayak nahin khalnayak hoon main
zulmi bada dukhdaayak hoon main
hai pyaar kya mujhko kya khabar
bas yaar nafrat ke laayak hoon main
nayak nahin
ra ra ra ri
khalnayak hoon main
ra ra ra ra ri
teri tabiyat to rangeen hai
par tu muhabbat ki tauheen hai
hmmmm
kuchh bhi nahin yaad iske siwaa
na main kisi ka na koi mera
jo cheez maangi nahin wo mili
karta main kya aur bas cheen li
bas cheen li bas cheen li
main bhi sharafat se jeeta magar
mujhko shareefon se lagta tha darr
sabko pata tha main kamzor hoon
main isliye aaj kuchh aur hoon
kuchh aur hoon kuchh aur hoon
nayak nahin
ra ra ra ra
khalnayak hoon main
ra ra ra ra ri
zulmi bada dukhdaayak hoon main
hai pyaar kya mujhko kya khabar
bas yaar nafrat ke laayak hoon main
nayak nahin khalnayak hai tu
kitne khilonon se khela hai tu
afsos phir bhi akela hai tu
hmmmm
bachpan ne likhi kahaani meri
kaise badalti jawaani meri
saara samandar mere paas hai
ik boond paani meri pyaas hai
meri pyaas hai meri pyaas hai
dekha tha maa ne kabhi pyaar se
ab mil gayi wo bhi sansaar se
main wo lootera hoon jo loot gaya
maa kaa bhi aanchal kahin chhut gaya
nayak nahin khalnayak hoon main
zulmi bada dukhdaayak hoon main
hai pyaar kya mujhko kya khabar
bas yaar nafrat ke laayak hoon main
nayak nahin
tara ra ra ri
khalnayak hai tu
khalnayak hoon main
nayak nahin
khalnayak hoon main
nayak nahin
khalnayak hoon main
nayak khalnayak
nayak khalnayak