Ye raatein ye mausam nadi ka kinara
Ye chanchal hawa
Ye raatein ye mausam nadi ka kinara
Ye chanchal hawa
Kaha do dilon ne
Ki milkar kabhi hum na honge juda
Ye raatein ye mausam nadi ka kinara
Ye chanchal hawa
Ye kya baat hai aaj ki chandani mein
Ye kya baat hai aaj ki chandani mein
Ki hum kho gaye pyaar ki ragini mein
Ye baahon me baahein, ye bahki nigaahein
Lo aane laga zindagi ka maza
Ye raatein ye mausam nadi ka kinara
Ye chanchal hawa
Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Sitaron ki mehfil ne karke ishara
Kaha ab to saara jahaan hai tumhara
Mohabbat jawan ho khula aasamaan ho
Kare koi dil aarzoo aur kya
Ye raatein ye mausam nadi ka kinara
Ye chanchal hawa
Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe
Kasam hai tumhe tum agar mujhse roothe
Rahe saans jab tak ye bandhan na toote
Tumhe dil diya hai ye waada kiyaa hai
Sanam mai tumhari rahungi sadaa
Ye raatein ye mausam nadi kaa kinara
Ye chanchal hawa
Kaha do dilon ne
Ki milkar kabhi hum na honge juda
Ye raatein ye mausam nadi ka kinara
Ye chanchal hawa