hmm hmm hmm
hmm hmm hmm hmm
hmm hmm hmm hmmm hmm hmm
hmmm hmm hmmm hmmm
hmmm hmm hmmm hmmm
ik pyaar ka nagma hai
maujon ki ravaani hai
ik pyaar ka nagma hai
maujon ki ravaani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin
teri meri kahani hai
ik pyaar ka nagma hai
maujon ki ravaani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin
teri meri kahani hai
ik pyaar ka nagma hai
la la la la la laaaa
la la la la la laaaa
kuchh paa kar khona hai
kuchh kho kar paana hai
jeevan ka matlab to
aana aur jaana hai
do pal ke jeevan se
ik umr churani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin
teri meri kahani hai
ik pyaar ka nagma hai
tu dhaar hai nadiyaa ki
main tera kinara hoon
tu mera sahara hai
main tera sahara hoon
aankhon mein samandar hai
aashaaon ka paani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin
teri meri kahani hai
ik pyaar ka nagma hai
toofaan ko aana hai
aa kar chale jana hai
badal hai ye kuchh pal ka
chha kar dhal jana hai
parchhaiyan reh jaati
reh jaati nishaani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin
teri meri kahani hai
ik pyaar ka nagma hai
maujon ki ravaani hai
zindagi aur kuchh bhi nahin
teri meri kahani hai
ik pyaar ka nagma hai