Hmm hm hm hmm hmm hmm
Haan, kya kahaa
Ghum hai kisi ke pyaar
mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin
paaon main uska naam
Haaye raam, haaye ram
Kuchh likhaa
Haan
Kyaa likhaa
Ghum hai kisi ke pyaar
mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin
paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam
Achchhaa, aage kyaa likhoon
Aage
Socha hai ek din main use milke
Keh daalon apne sab haal dil ke
Aur kardoon jeevan uske hawale
Phir chhod de chaahe apna bana le
Main to uska re hua deewana
Ab to jaisa bhi mera ho anjaam
Ho ghum hai kisi ke pyaar
mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin
paaon main uska naam
Haaye raam, haaye raam
Likh liyaa
Haan
Zaraa padhake to sunaao na
Chaaha hai tumne jis baawri ko
Woh bhi sajanwa chaahe tumhi ko
Naina uthaae to pyaar samjho
Palken jhukaa de to ikraar samjho
Rakhti hai kabse chupa chupa ke
Kyaa
Apne hoton mein piya tera naam
Ho ghum hai kisi ke pyaar
mein dil subah shaam
Par tumhe likh nahin
paaon main uska naam
haai raam haai raam