Kashti ka khamosh safar hai,
Shaam bhi hai tanhayi bhi
Dur kinare par bajati hai
Laharo ki shahnayi bhi
Kashti ka khamosh safar hai,
Shaam bhi hai tanhayi bhi
Dur kinare par bajati hai
Laharo ki shahnayi bhi
Aaj mujhe kuchh kahna hai,
Aaj mujhe kuchh kahna hai
Lekin ye sharmili nigahe
Mujhko ijazat de to kahu
Khud meri betaab umange
Thodi fursat de to kahu
Aaj mujhe kuchh kahna hai,
Aaj mujhe kuchh kahna hai
Jo kuchh tumko kahna hai,
Vo mere hi dil ki baat na ho
Jo hai mere khwabo ki manzil
Us manzil ki baat na ho
Kahte huye dar sa lagta hai,
Kahakar baat na kho baithu
Ye jo zara sa saath mila hai,
Ye bhi saath na kho baithu
Kabse tumhaare raste pe
Mai phul bichhaaye baithi hoon
Kah bhi chuko jo kahna hai
Mai aas lagaaye baithi hu
Dil ne dil ki baat samajh li,
Ab munh se kya kahna hai
Aaj nahi to kal kah lenge,
Ab to saath hi rahna hai
Kah bhi chuko,
Kah bhi chuko jo kahna hai
Chhodo ab kya kahna hai