Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
Jo likha tha
Jo likha tha aansoo un ke sang beh gaya
Mera jeevan
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
Ik hawa ka jhoonka aaya
Ik hawa ka jhoonka aaya
Tuta Dali se phool
Tuta Dali se phool
Na pavan ki na chaman ki
Kiski hai ye bhool
Kiski hai ye bhool
Kho gayi kho gayi
Khushboo hawa mein kuch na reh gaya
Mera jeevan
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
Udte panchi ka thikana
Udte panchi ka thikana
Mera na koi jahan
Mera na koi jahan
Na dagar hai na khabar hai
Jana hai mujhko kahan
Jana hai mujhko kahan
Ban ke sapna
Ban ke sapna
Humsafar ka saath reh gaya
Mera jeevan
Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya