Ho ho ho o o wo…
Wo oo wo..
Karta hoon tujh mein din guzar main
Karta hoon tujh mein shab basar
Karta hoon tujh mein hi sehar main
Jeeta hoon tujh ko dekh kar
Dil tere bin thehra sa hai
Tu dhadkano ka hai safar
Kaanton bhara har raasta
Phoolon ki hai tu rehguzar
Jaavedaan hai ishq tujh se,
jaavedaan hai Jaan o dil ke,
darmiyaan hai, darmiyaan tu haan
Jaavedaan hai ishq tujh se
jaavedaan hai Tujh mein hi dil,
ud raha hai aasmaan tu haan
Ho ho ho o o wo…
Saath tera jab se hai mujhko mila
Waqt ki shaakhon pe hai har pal khila
Zindagi se ab nahi koi gila
Jitna hai tu utna hoon main
Naa kuch zyada naa hoon kam
Tujhse shuru hota hoon main
Hota hoon tujhpe hi khatam
Jaavedaan hai ishq tujh se
jaavedaan hai Jaan o dil ke,
darmiyaan hai, darmiyaan tu haan
Jaavedaan hai ishq tujh se
jaavedaan hai Tujh mein hi dil
ud raha hai aasmaan tu haan
MUSIC
Maine tujhko is tarah se hai jiya
Aandhiyon me jaise jalta hai diya
Ishq se har faasle ko tay kiya
Jo the juda humse khafa
lamhe wo saare kat gaye
Tum mil gaye banke subah
jo the andhere hat gaye
Jaavedaan hai ishq tujh se
jaavedaan hai Jaan o dil ke
darmiyaan hai, darmiyaan tu haan
Jaavedaan hai ishq tujh se,
jaavedaan hai Tujh mein hi dil
ud raha hai aasmaan tu haan
BEST REGARDS
SHAHLIYA
SHAHrukh and Aliya