Humne dekhi hai
Unn aankhon ki mehakti khushboo
Haath se chhoo ke isse
Rishton ka ilzaam naa do
Sirf ehsaas hai ye
Rooh se mehsoos karo
Pyaar ko pyaar hi rehne do
Koi naam na do
Humne dekhi hai
Unn aankhon ki mehakti khushboo
Haath se chhoo ke isse
Rishton ka ilzaam naa do
Humne dekhi hai
Pyaar koi bol nahin
Pyaar aawaaz nahin
Ek khamoshi hai
Sunti hai kaha karti hai
Naa ye bujhti hai naa rukti hai
Naa thaheri hai kahin
Noor ki boond hai
Sadiyon se baha karti hai
Sirf ehsaas hai ye
Rooh se mehsoos karo
Pyaar ko pyaar hi rehne do
Koi naam naa do
Humne dekhi hai
Unn aankhon ki mehakti khushboo
Haath se chhoo ke isse
Rishton ka ilzaam naa do
Humne dekhi hai
Muskurahat si khili rehti hai
Aankhon mein kahin
Aur palkon pe ujale se
Jhuke rehti hain
Honth kuchh kehte nahin
Kaanpate hothon pe magar
Kitne khamosh se afsaane
Ruke rehte hain
Sirf ehsaas hai ye
Rooh se mehsoos karo
Pyaar ko pyaar hi rehne do
Koi naam naa do
Humne dekhi hai
Unn aankhon ki mehakti khushboo
Haath se chhoo ke isse
Rishton ka ilzaam naa do
Humne dekhi hai