Yeh aankhein dekh kar hum
Saari duniya bhool jaate hain..
Yeh aankhein dekh kar hum
Sari duniya bhool jaate hain
Inhein paane ki..
Inhein paane ki dhun mein
Har tamanna bhool jaate hain
Tum apni mehki mehki zulf ke
Pechon ko kam kar do..
Tum apni mehki mehki zulf ke
Pechon ko kam kar do
Musafir in mein ghir kar
Apna rasta bhool jaate
Bhool jaate hain
Yeh aankhein dekh kar hum
Saari duniya bhool jaate hain
Yeh baahein jab hamein apni
Panaahon mein bulaati hain
Yeh baahein jab hamein apni
Panaahon mein bulaati hain
Hamein apni kasam...
Hamein apni kasam hum har
Sahaara bhool jaate hain
Tumhare narm o naazuk honth
Jis dam muskurate hain...
Tumhare narm o naazuk honth
Jis dam muskurate hain
Baharein jhenpti hain
Phool khilna bhool jaate hain
Yeh aankhein dekh kar hum
Sari duniya bhool jaate hain
Bahut kuchh tumse kehne ki
Tamanna dil mein rakhte hain
Bahut kuchh tumse kehne ki
Tamanna.....
Dil mein rakhte hain
Magar jab saamne aate hain
Kehna bhool jaate hain
Mohabbat mein zubaan chup ho to
Aankhein baat karti hain..
Mohabbat mein zubaan chup ho to
Aankhein baat karti hain
Wo keh deti hain sab baatein
Jo kehna bhool jaate hain
Yeh aankhein dekh kar hum
Saari duniya bhool jaate hain
Yeh aankhein dekh kar hum
Saari duniya bhool jaate hain