menu-iconlogo
logo

Tere Pyar Ka Aasra Chahta Hoon

logo
Paroles
Tere pyaar ka aasra chaahta hoon

Tere pyaar ka aasra chaahta hoon

Wafaa kar raha hoon

Wafaa chaahta hoon

Tere pyaar ka aasra chaahta hoon

Wafaa kar raha hoon

Wafaa chaahta hoon

Hasinon se ehde wafaa chaahte ho

Hasinon se ehde wafaa chaahte ho

Bade naasamajh ho

Ye kya chaahte ho

Bade naasamajh ho

Tere narm baalon mein

Taare sajaa ke

Tere shokh kadmon mein

Kaliyaan bichhaa ke

Muhabbat ka chhota sa

Mandir bana ke

Muhabbat ka chhota sa

Mandir bana ke

Tujhe raat din

Tujhe raat din poojna chaahta hoon

Wafaa kar raha hoon

Wafaa chaahta hoon

Tere pyaar ka

Zara soch lo dil

Lagaane se pehle

Ke khona bhi padta hai

Paane se pehle

Ijaazat to le lo

Zamaane se pehle

Ijaazat to le lo

Zamaane se pehle

Ki tum husn ko

Ki tum husn ko poojna chaahte ho

Bade naasamajh ho

Ye kya chaahte ho

Bade naasamajh ho

Kahaan tak jiyen teri ulfat ke maare

Guzarti nahin zindagi bin sahaare

Bahot ho chuke door reh kar ishaare

Bahot ho chuke door reh kar ishaare

Tujhe paas se

Tujhe paas se dekhna chaahta hoon

Wafaa kar raha hoon

Wafaa chaahta hoon

Tere pyaar ka

Muhabbat ki dushman hai

Saari khudaayi

Muhabbat ki taqdeer

Mein hai judaayi

Jo sunte nahin hai

Dilon ki duhaayi

Jo sunte nahin hai

Dilon ki duhaayi

Unhi se mujhe

Unhi se mujhe maangna chaahte ho

Bade naasamajh ho

Ye kya chaahte ho

Bade naasamajh ho

Dupatte ke kone ko

Munh mein daba ke

Zara dekh lo

Iss taraf muskuraa ke

Mujhe loot lo mere

Nazdik aa ke

Mujhe loot lo mere

Nazdik aa ke

Ke main maut se

Ke main maut se khelna chaahta hoon

Wafaa kar raha hoon

Wafaa chaahta hoon

Tere pyaar ka

Galat saare daave

Galat saari kasmen

Nibhengi yahaan kaise

Ulfat ki rasmen

Yahaan zindagi hai

Riwaajon ke bas mein

Yahaan zindagi hai

Riwaajon ke bas mein

Riwaajon ko tum

Riwaajon ko tum todna chaahte ho

Bade naasamajh ho

Ye kya chaahte ho

Bade naasamajh ho

Riwaajon ki parwaah na

Rasmon ka dar hai

Teri aankh ke

Faisle pe nazar hai

Riwaajon ki parwaah na

Rasmon ka dar hai

Teri aankh ke

Faisle pe nazar hai

Bala se agar

Raasta purkhatar hai

Bala se agar

Raasta purkhatar hai

Main iss haath ko

Main iss haath ko thaamna chaahta hoon

Wafaa kar raha hoon

Wafaa chaahta hoon

Tere pyaar ka

Tere Pyar Ka Aasra Chahta Hoon par Mahendra Kapoor/Lata Mangeshkar - Paroles et Couvertures