Dil ki ye aarzoo thi koi dilruba mile
dil ki ye aarzoo thi koi dilruba mile
lo ban gaya naseeb ki tum hamse aa mile
dil ki ye aarzoo thi koi dilruba mile
Dekhe hamen naseeb se ab apne kya mile
dekhe hamen naseeb se ab apne kya mile
abtak to jo bhi dost mile bewafa mile
abtak to jo bhi dost mile bewafa mile
Aankhonko ik ishareki zehmat to dijiye
kadmon me dil bichhadu izazat to dijiye
ghamko gale lagalu jo gham aapka mile
ghamko gale lagalu jo gham aapka mile
dilki ye aarzoo thi koi dilruba mile
dilki ye aarzoo thi koi dilruba mile
Humne udasiyo me gujari hai zindagi
humne udasiyo me gujari hai zindagi
lagta hai dar fareb e wafa se kabhikabhi
lagta hai dar fareb e wafa se kabhikabhi
aisa naho ki jakhm koi phir naya mile
aisa naho ki jakhm koi phir naya mile
ab tak to jo bhi dost mile bewafa mile
Kaltum juda huyethe jahan saath chhodkar
hum aaj tak khade hai usi dilke modpar
humko is intezaar ka kuch to sila mile
humko is intezaar ka kuch to sila mile
dil ki ye arzoo thi koi dilruba mile
dil ki ye arzoo thi koi dilruba mile
Dekhen hamen naseeb se ab apne kya mile
ab tak to jo bhi dost mile bewafa mile
ab tak to jo bhi dost mile bewafa mile