aa aa aaaaaa aaaa aaaaa
wafaayen dekh li
pathar jigar zaalim zamaane ki
kasam khayi hai ab humne
kisi se dil lagaane ki
sab pyaar ki baaten karte hain
par karna aata pyaar nahin
hai matlab ki duniyaa saari
yahaan koi kisi ka yaar nahin
kisi ko sacha pyaar nahin
sukh mein sab aa aa kar apne
rishten naate batlaate
rishten naate batlaate
bure dinon mein dekha humne
aankh bacha kar hain jaate
aankh bacha kar hain jaate
thokar kha kar sambhalne waale
jeet hai teri haar nahi
hai matlab ki duniyaa saari
yahaan koi kisi ka yaar nahin
kisi ko sacha pyaar nahin
aye bande bhagwaan se darr
aye bande bhagwaan se darr
insaan se mat darr
mohar lagi hai uski tere
haq ke daane daane par
haq ke daane daane par
uski marzi bin tere
chubh sakta koi khaar nahin
hai matlab ki duniyaa saari
yahaan koi kisi ka yaar nahin
kisi ko sacha pyaar nahin
kisi ko sacha pyaar nahin