Aaa
naa to kaarwaan ki talaash hai
naa to kaarwaan ki talaash hai
naa to hamsafar ki talaash hai
naa to kaarwaan ki talaash hai
naa to hamsafar ki talaash hai
ab naa to hamsafar ki talaash hai
mere shauq e khaanaa kharaab ko
mere shauq e khaanaa kharaab ko
teri rehguzar ki talaash hai
mere shauq e khaanaa kharaab ko
teri rehguzar ki talaash hai
mere shauq e khaanaa
aaaa..
mere naamuraad junoon kaa
hai ilaaj koyi to maut hai
hai ilaaj koyi to maut hai
jo dawaa ke naam pe zahar de
jo dawaa ke naam pe zahar de usi
chaaraagar ki talaash hai
jo dawaa ke naam pe
zeher de...
dawaa ke naam pe jo.....jo
dawaa ke naam pe zahar de usi
chaaraagar ki talaash hai
usi chaaraagar ki talaash hai
usi chaaraagar ki talaash hai
usi chaaraagar ki
aaaa aaaa aaaa aaaa
teraa ishq hai meri aarzoo
teraa ishq hai meri aabroo
ho teraa ishq hai meri aabroo
teraa ishq hai meri aabroo
dil ishq jism ishq hai aur jaan ishq hai
imaan ki jo poochho to imaan ishq hai
ho teraa ishq hai meri aabroo
teraa ishq main kaise chhod doon
teraa ishq main kaise chhod doon meri
umr bhar ki talaash hai
teraa ishq main kaise… ishq ishq
teraa ishq main kaise… ishq ishq
ishq ishq
ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq
jaansoz ki haalat ko
jaansoz ki haalat ko jaansoz hi samjhega
main shamaa se kahtaa hoon
mehfil se nahin kahtaa kyunki
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq
sahar tak sabkaa hai anjaam
jal kar khaak ho jaanaa
sahar tak sabkaa hai anjaam
jal kar khaak ho jaanaa
bane mehfil mein koyi shamaa yaa
parwaanaa ho jaaye, kyunki
ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq
aaaa aaaa
aaaaa aaaaa
aaaa aaaaa
aaaa aaaa..
vehshat e dil rasm o daar se
roki naa gayi
kisi khanjar, kisi talwaar se
roki naa gayi
ishq Majnu ki wo aawaaz hai
jiske aage
koyi Lailaa kisi deewaar se
roki naa gayi, kyunke
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq
wo hanske agar maangen to ham
jaan bhi deden
wo hanske agar maangen to ham
jaan bhi deden
haan ye jaan to kyaa cheez hai
Imaan bhi deden, kyunki
ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq
naaz o andaaz se kahte hain
ke jeenaa hogaa
zehar bhi dete hain to kehte hain
ke peenaa hogaa
naaz o andaaz se kahte hain
ke jeenaa hogaa
zahar bhi dete hain to kahte hain
ke peenaa hogaa
jab main peetaa hoon to kahten hain
ke martaa bhi nahin
jab main martaa hoon to kahte hain
ke jeenaa hogaa
ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq
mazhab e ishq ki har rasm kadi hoti hai
aaa aaa
har kadam par koyi
deevaar khadi hoti hai
ishq aazaad hai
ishq aazaad hai
hindu naa musalmaan hai ishq
aap hi dharm hai aur
aap hi Imaan hai ishq
jis aagaah nahi sheikh o barahman dono
us haqeeqat kaa garajtaa
huaa ailaan hai ishq
ishq naa puchchhe…haye
ishq naa puchchhe deen dharam nu
ishq naa puchchhe jaataan
ishq de haathon garam lahoo vich
dubiyaan lakh baraataan
ke de ishq
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq
raah ulfat ki kathin hai
ise aasaan naa samajh, kyunki
ishq ishq hai ishq ishq
ye ishq ishq hai ishq
bahut kathin hai
bahut kathin hai dagar panghat ki
bahut kathin hai dagar panghat ki
dagar panghat ki.. dagar panghat ki
dagar panghat ki.. dagar panghat ki
bahut kathin hai dagar panghat ki
ab kyaa bhar laaun main Jamunaa se matki
kyaa bhar laaun main Jamunaa se matki
ab kyaa bhar laaun main Jamunaa se matki
kyaa bhar laaun main Jamunaa se matki
mai jo chali jal jamunaa bharan ko
dekho sakhi ri mai jo chali
jal jamunaa bharan
Nandakishor mohe roke jhaado to
kyaa bhar laaun mai Jamunaa se matki
kyaa bhar laaun mai Jamunaa se matki
haan kyaa bhar laaun
mai Jamunaa se matki
ab laaj raakho more ghoonghat pat ki
laaj raakho more ghoonghat pat ki
laaj raakho more ghoonghat pat ki
laaj raakho more ghoonghat pat ki
laaj raakho raakho raakho
laaj raakho raakho raakho
laaj raakho raakho
jab jab Krishna ki bansi baaji, ho
jab jab Krishna ki bansi baaji
nikli Raadhaa saj ke
jaan ajaan kaa dhyaan bhulaa ke
lok laaj ko taj ke
haay
ban ban doli Janak dulaari
pahan ke prem ki maalaa
darshan jal ki pyaasi Meeraa
pee gayi vishh kaa pyaalaa
aur phir araj kari ke
laaj raakho raakho raakho,
laaj raakho dekho dekho
laaj raakho raakho
he he he
laaj raakho raakho
he he he
laaj raakho raakho
aaaa aaaa aaaa
ishq ishq hai ishq ishq,
ye ishq ishq hai ishq ishq
Allaah o Rasool kaa farmaan ishq hai
yaane hadees ishq hai, quraan ishq hai
Gautam kaa aur Maseeh kaa
armaan ishq hai
ye kaaynaat jism hai
aur jaan ishq hai
ishq Sarmad, ishq hi Mansoor hai
ishq Moosaa,, ishq koh e toor hai
Khaaq ko but
aur but ko devtaa kartaa hai ishq
intehaa ye hai ke bande ko Khudaa
kartaa hai ishq