Dil todne wale
Tujhe dil dhoond raha hai
Tujhe dil dhoond raha hai
Aawaz de tu kaun si
Nagri mein chhupa hai
Dil todne wale
Tu humko jo mil jaay
To hal apna sunayein
Khud royein kabhi aur
kabhi tujhko rulayein
Kabhi tujhko rulayein
Wo dagh dikhayein jo
Humein tune diya hai
Ae dil ke sahare
Tujhe dil dhoond raha hai
Tujhe dil dhoond raha hai
Seene mein teri yaad ka
Toofan utha hai
Ae dil ke sahare
Dil mein to ye hasrat hai
Tere pas, main aaun
Nazaron se, gira hoon to
Nazar kaise milaun
Nazar kaise milaun
Badnaam hoon nakaam hoon
kya mujh mein raha hai
Ae dil ke sahare
Tujhe dil dhoond raha hai
Tujhe dil dhoond raha hai
Dikhlake kanara
Mujhe mallah ne loota
Kashti bhi, gayi hath se
Patvar bhi chhuta
Patvar bhi chhuta
Ab aur na jane
Meri taqadir mein kya hai
Dil todne wale
Tujhe dil dhoond raha hai
Tujhe dil dhoond raha hai
Bechain udhar tu hai
To majboor idhar hum
Baithe hain chhupaye hue
AshKon mein tera gham
Ashkon mein tera gham
Har chot ubhar aayi hai
Har zakhm hara hai
Dil todne wale
Tujhe dil dhoond raha hai
Tujhe dil dhoond raha hai