menu-iconlogo
logo

Bahut Shukriya Badi Meherbani

logo
Paroles
Aa aa aaaa

Aaaa aaaa aaaa

Bahut shukriya badi meharbani

Meri zindagi mein huzoor aap aaye

Kadam choom loon ya

Ke aankhein bichha doon

Karoon kya yeh meri

Samajh mein na aaye

Bahut shukriya

Karoon pesh tumko

Nazraana dil ka

Nazraana dil ka

Karoon pesh tumko

Nazraana dil ka

Nazraana dil ka

Ke ban jaaye koi

Afsaana dil ka

Khuda jaane aisi

Suhaani ghadi phir

Khuda jaane aisi

Suhaani ghadi phir

Meri zindagi mein

Palat ke naa aaye

Bahut shukriya badi meharbani

Meri zindagi mein huzoor aap aaye

Bahut shukriya

Khushi to bahut hai

Magar yeh bhi ghum hai

Magar yeh bhi ghum hai

Ke yeh saath apna

Kadam do kadam hai

Magar yeh musafir

Dua maangta hai

Magar yeh musafir

Dua maangta hai

Khuda aap se phir

Kisi din milaaye

Bahut shukriya badi meharbani

Meri zindagi mein huzoor aap aaye

Bahut shukriya

Aa aaaa aa

Mujhe dar hai mujh mein

Guroor aa na jaaye

Lagoon jhumne main

Suroor aa na jaaye

Suroor aa na jaaye

Kahin dil na mera

Yeh taarif sun kar

Kahin dil na mera

Yeh taarif sun kar

Tumhaara bane aur

Mujhe bhool jaaye

Bahut shukriya badi meharbani

Meri zindagi mein huzoor aap aaye

Kadam choom loon ya

Ke aankhein bichha doon

Karoon kya yeh meri

Samajh mein na aaye

Bahut shukriya