Dost dost naa raha
Pyaar pyaar naa raha
Zindagi hame tera
Aitabaar na raha
Aitabaar na raha
Dost dost naa raha
Pyaar pyaar naa raha
Zindagi hamen tera
Aitabaar na raha
Aitabaar na raha
Amaanaten main pyaar ki
Gaya tha jis ko saunp kar
Wo mere dost tum hi the
Tum hi to the
Jo zindagi ki raah me
Bane the mere hamasafar
Wo mere dost tum hi the
Tum hi to the
Saare bhed khul gaye
Raazadaar na raha
Zindagi hame tera
Aitabaar na raha
Aitabaar na raha
Gale lagi sahan sahan
Bhare gale se bol ke
Wo tum na thi to kaun thaa
Tum hi to thi
Safar ke vaqt me palak pe
Motiyon ko tolti
Wo tum na thi to kaun thaa
Tum hi to thi
Nashe ki raat dhal gayi
Ab khumaar na raha
Zindagi hame tera
Aitabaar na raha
Aitabaar na raha
Wafa ke leke naam jo
Dhadak rahe the har ghadi
Wo mere nek nek dil
Tum hi to ho
Jo muskura ke rah gaye
Zahar ki jab sui ghadi
Wo mere nek nek dil
Tum hi to ho
Ab kisi ka mere dil
Intezar na raha
Zindagi hame tera
Aitabaar na raha
Aitabaar na raha
Dost dost naa raha
Pyaar pyaar naa raha
Zindagi hame tera
Aitabaar na raha
Aitabaar na raha.