menu-iconlogo
logo

Mumtaz

logo
Paroles
Gaflaton mai meine khawab yun jalaye hain

Dardon ko dekh mene daawat pe bulaye hain

Khuda sukoon de, mere iss zahen ko

Hasa ke gair, maine Apne rulayen hain

Bata bazaar koi, janha muje wafa mile

Main bechun khushi aur ghum sala nafa mile

Main bechta nahi zameer, khuda ke kauf se

Warna saude karne wale kai dafa mile

Jung thi apno se toh lad nahi saka, main

Sikha sadkon se toh pad nahi saka, woh

Bacha Rakhta apne sare zakhm gin ke,

Aaj bada account aur kitna paisa nahi pata

Kho di jannat maine, ab sukoon ki chah nahi

Thokar bina manzil le chale woh raah nahi

Bina matlab Khair nahi puchegi yeh tujhse

Yeh Duniya hai Teri Maa nahi

Muje ginte he yeh sare gaafilon mai, Maa

Tera beta alag dikhta he kaffilon mai

Shatiron mai yeh parche mere baant te hain

Hairat hoti hai jab dost maa ka phone kaat te hain

Rabb ne naseeb mai, mere langar likhe hain

Sab sikha, nahi sikha maa bin kaise jite hain

Pite hai hum ansu, unki lazzat na puch,

Bas itna hi kahunga ke samander fike hain

Jab tode maine rishte toh sath dega kaun paying for my sins,

Like god given me loan

I got enemies, joh betha hai firaak mai, and

My parents left me like a movie home alone

Mera yeh gaana club mai nahi bajega

Ghum ki lagegi jab mehfil toh yeh uper hi sajega

Mehfilon mai mera hasna inko khalta hai

Rota akele mai, inhe sunai kaise dega

Yeh duniya milna chahti mujse,

Nahi joh duniya mai, main milna chahta unse

Khoon se yeh joh shayriyan mai likh raha hoon

Marham rakho apne pas, main crodon mai hi bik raha hoon

Paison ka kya karun maa tera karza sar pe

Khud hun fakir yeh murid mere dar ke

Yeh soche itna down to earth hun main kaise

Bikte dekhe mene bartan apne ghar ke

Tu sath na maa, par sath tera saaya hai

Itna mashur haan bas, yahi toh kamaya hai

Inhone toda mera mitti ka mahel, Aaj

Beta Mumtaz ka inka taj chinne aaya hai.

Gaflaton mai khawab jalaye he

Dardo ko daawat pe bulaye he

Khuda sukoon de, mere iss zahen ko

Hasa ke gair, maine Apne rulaye hen

Gaflaton mai meine khawab yun jalaye hain

Dardon ko dekh mene daawat pe bulaye hain

Khuda sukoon de, mere iss zahen ko

Hasa ke gair, maine Apne rulayen hain