main ne poocha chaand se ki dekha he kahin
mere yaar sa haseen
chaand ne kaha chandani kii qasam
nahin, nahin, nahin
main ne poocha chaand se ki dekha he kahin
mere yaar sa haseen
chaand ne kaha chandani kii qasam
nahin, nahin, nahin
main ne poocha chaand se
main ne ye hijaab tera dhundha
har jagah shabaab tera dhundha
kaliyon se misaal teri poochi
phulon main jawaab tera dhundha
main ne poocha baag se falaq ho yaa zameen
aisa phool he kahin
baag ne kaha har kali kii qasam
nahin, nahin, nahin
ho chaal he ki mouj kii ravaani
zulf he ki raat kii kahani
hont hai ki aaine kanval ke
aankh he ki mayaadon kii rani
main ne poocha jam se falaq ho yaa zameen
aisi may bhi he kahin
jam ne kaha, maykshi kii qasam
nahin, nahin, nahin
main ne poocha chaand se ki dekha he kahin
mere yaar sa haseen
chaand ne kaha chandani kii qasam
nahin, nahin, nahin
main ne poocha chaand se