menu-iconlogo
logo

Kabhi Kabhi Aditi

logo
Paroles
Kabhi-kabhi aditi zindagi mein yuhi koi apna lagta hai

Kabhi-kabhi aditi wo bichad jaye to ek sapna lagta hai

Aise mein koi kaise apne aasun ko behene se roke

Aur kaise koi soch de Everything's gonna be ok

Kabhi-kabhi to lage zindagi mein rahi na khushi aur na maza

Kabhi-kabhi to lage har din muskhil aur har pal ek saza

Aise mein koi kaise muskuraye, kaise hansde kush hoke

Aur kaise koi soch de Everything's gonna be ok

Soch zara jaan-e-jaan tujhko hum kitna chahte hai

Roote hai hum bhi agar teri aakhon mein aasun aate hain

Gaana to aata nahi hai magar phir bhi hum gaate hain

Hey, aditi maana kabhi-kabhi sare jahan mein andhera hota hai

Lekin raat ke baad hi to savera hota hai

Kabhi-kabhi aditi zindagi mein yuhi koi apna lagta hai

Kabhi-kabhi aditi wo bichad jaye to ek sapna lagta hai

Hey aditi hasde hasde hasde hasde hasde tu zara

Nahi to bas thoda thoda thoda thoda thoda thoda muskura

Tu kush hai to lage ki jahan mein chhaai hai kushi

Suraj nikle badlon se aur baate zindagi

Sun to zara madhosh hawa tujhse kehne lagi

Ki aditi wo jo bichadte hain ek na ek din phir mil jate hain

Ye aditi jaane tu ya jaane na phool phir khil jate hain