Chalte firte ab rodu baat aam si hai
Din dhaley tujhe hi sochu baat aam si hai
Tu mujhe hi toh pukare baat aam si hai
Na na usko pukare baat aam si hai
Haan haal hai bura
Aur besabar hu mein
Tu de sukoon mujhe
Ya dekh ke hass hi de
Duri yeh dekh ke sab hairaan hai
Hum badnaseeb se
Ya tum naraaz the
Kehdena sunke kyun tu bezubaan hai
Saansein hai nam
Waqt thamaan hai
Waqt thamaan hum dono majboor
Tu bewafai se aur mein fitoor
Tha kabhi tera bas iska guroor
Tu mere inn gaanon mein ab bhi mashoor
Dua karu tu laut aaye baat aam si hai
Khush rahe tu yeh chahu baat aam si hai
Tu bhi roose mein manau baat aam si hai
Na na ab toh woh manaye baat aam si hai
Bistaron pe silvatein hai
Yeh bhi baat aam si hai
Tu bhi khush hai mein kahi hu
Yeh bhi baat aam si hai
Nahi hai dil riha
Muntazir hu mein
Teri ek jhalak
Aur hum fisal gaye
Kyun tu aaj hai kahi
Hum jaha nahi rahe
Bandishein yeh parda hai
Rubaru hum kya kahe
Tu silsilon se bekhabar yeh baat aam si hai
Gham bhi chodhta kasar na baat aam si hai
Tujhe bhi yaadein toh sataye baat aam si hai
Na na ab toh woh sataye baat aam si hai
Hathon mein hath labon pe baat aam si hai
Sharab hai khatam behosh baat aam si hai
Tujhe mana bhi kar saku na baat aam si hai
Ashiqi kare katal yeh baat aam si hai