Main shayar to nahin
Main shayar to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko
shayari aa gayi
Main shayar to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko
shayari aa gayi
Main aashiq to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko aashiqi aa gayi
Main shayar to nahin
Pyar ka naam maine suna tha magar
Pyar kya hai yeh mujhko
nahin thi khabar
Pyar ka naam maine suna tha magar
Pyar kya hai yeh mujhko
nahin thi khabar
Main to uljha raha uljhano ki tarah
Doston mein raha dushmano ki tarah
Main dushman to nahin
Main dushman to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko dosti aa gayi
Main shayar to nahin
Sochta hoon agar main dua mangta
Hath apne utha kar main kya mangta
Sochta hoon agar main dua mangta
Hath apne utha kar main kya mangta
Jabse tujhse mohabbat main karne laga
Tabse aisi ibaadat main karne laga
Main kafir to nahin
Main kafir to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko bandagi aa gayi
Main shayar to nahin
Magar aye haseen jabse dekha
Maine tujhko mujhko shayari aa gayi
Main shayar to nahin