menu-iconlogo
logo

Main Shayar To Nahin

logo
Paroles
Main shaayar to nahin

Main shaayar to nahin

Magar ae haseen

Jab se dekha, maine tujhko mujhko

Shaayari aa gayi

Main shaayar to nahin

Magar ae haseen

Jab se dekha, maine tujhko mujhko

Shaayari aa gayi

Main aashiq to nahin

Magar ae haseen

Jab se dekha, maine tujhko mujhko

Aashiqui aa gayi

Main shaayar to nahin

Pyaar ka naam maine suna tha magar

Pyaar kya hai, yeh

mujhko nahin thi khabar

Pyaar ka naam maine suna tha magar

Pyaar kya hai, yeh

mujhko nahin thi khabar

Main to uljha raha uljhanon ki tarha

Doston mein raha dushmanon ki tarha

Main dushman to nahin

Main dushman to nahin

Magar ae haseen

Jab se dekha, maine tujhko mujhko

Dosti aa gayi

Main shaayar to nahin

Sochta hoon agar main dua maangta

Haath apne uthaakar main kya maangta

Sochta hoon agar main dua maangta

Haath apne uthaakar main kya maangta

Jab se tujhse mohabbat main karne laga

Tab se jaise ibaadat main karne laga

Main kaafir to nahin

Main kaafir to nahin

Magar ae haseen

Jab se dekha, maine tujhko mujhko

Bandagi aa gayi

Main shaayar to nahin

Magar ae haseen

Jab se dekha maine tujhko mujhko

Shaayari aa gayi

Main shaayar to nahin