menu-iconlogo
logo

Meri Maa

logo
Paroles
Main kabhi batlaata nahi, par

andhere se darta hoon main maa

Yuun to main dikhlaata nahi,

teri parwaah karta hoon main maa

Tujhe sab hai pata, hai na maa

Tujhe sab hai pata... meri maa

Bheed mein yuun na chhodo mujhe,

ghar laut ke bhi aana paau maa

Bhejna itna door mujhko tu,

yaad bhi tujhko aana paau maa

Kya itna bura hoon main maa

Kya itna bura... meri maa

Jab bhi kabhi papa mujhe, zor

zor jhula jhulate hai maa

Meri nazar dhoondhe tujhe,

sochun yahi tu aake thaamegi maa

Unase main yeh kehta nahi, par

main seham jaata hoon main maa

Chehre mein aane deta nahi, dil

hi dil mein ghabraata hoon main

Tujhe sab hai pata hai na maa

Tujhe sab hai pata... meri maa

O main kabhi batlaata nahi, par

andhere se darta hoon main maa

Yuun to main dikhlaata nahi,

teri parwaah karta hoon main maa

Tujhe sab hai pata, hai na maa

Tujhe sab hai pata... meri maa