Sapnay sajaye hue jab dekha tou
Hue wou khaak say raakh
Likhne mai betha hu aaj
Tou nikley gi phir wahi baat say baat
Kitna hi maangu tujhe
Jaaga tha kitni taak ki raat
Jou karte thay waada kay dengein sahara
Ab wahi nahi saath mein aaj
Mai rahu bechein ab chein nahi kahi hai
Qalam jab uthe tou likhtey hain saheefay
Aur meri nahi samajh mein atay yeh tareekay
Tujhe di jeet haan maana tum sahi thay
Jaha tha chora hum abhi tak wahi hai
Wou puchein hum kehtey hum sahi hain
Mai toota hu kitni baar, yeh haal behaal
Ab ginti mein nahi hai
Kahu emaan say, tou tere naam say
Darta hai dil yeh kesa rog
Zara sambhaal kay, rakh dehaan say
Dil yeh parhgaya kamzor
Mere sawaal kay kahi jawaab nahi
Mujhse kehte aksar log
Mere khayaal mein dekhein aap jhaank kay
Dikhta hai bus ab afsos
Ghut'ti saansein
Akelepan say karli kitni baatein
Kaatu zindagi mai kese kiya ehsaas hai
Asamaan ka rangg batata kiya mizaaj hai
Tum bhi jaantay
Yeh ansu leke behgaye wou saari kashtiya
Jou bani kaghazou ki
Jinpay likhi dastaan
Kahaani jou humari ansu'ou ki
Yeh ansu leke behgaye wou saari kashtiya
Jou bani kaghazou ki
Kahaani iss jahaan ki
Tumhari aur humari halatou ki
Ab bhi jab dekhte kabhi hum murh kay
Wahi samaa hai wahi halaat hai
Ab jab kabhi bhi sochte
Tere bin jeena bhi kesa azaab hai
Tum dekhou tou mere hisaab say
Tujhe jab paaya tou miley malaal hain
Jou samajh mai betha tha pyaar
Adat k naam say bikta bazaar mein
Aur ab tou saans bhi lena hasaas hai
Teri yaadein sameitein hum paas mein
Ab khou kay betha jou hosh
Tou lagti na bhook na lagti ab pyaas hai
Din dhaley tou shaam
Uss shaam say intezaar hai
Kay khatam bhi hougi yeh sabar ki ghari
Hum waqai kafi bezaar hain
Thouri maan lete baat tum
Saath mere chaltay tou sahi
Haan maana jaa chukay
Hou tum par dil mein mere bastay hou ab bhi
Yeh ansu leke behgaye wou saari kashtiya
Jou bani kaghazou ki
Jinpay likhi dastaan
Kahaani jou humari ansu'ou ki
Yeh ansu leke behgaye wou saari kashtiya
Jou bani kaghazou ki
Kahaani iss jahaan ki
Tumhari aur humari halatou ki