Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hu
Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hu
Ek aakhri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe apni shaan manta hu
Sirf saanse hi to baaki hai
Jab teri yaad aati hai
Yaad me teri saath ye bhi chod jaati hai
Galti to sabse hoti hai
Galti mujhse bhi ho gayi
Ab maaf bhi krde mujhe
Kyu dur itna ho gayi
Ek galti ke liye
Kyu sath chod gayi
Tu kyu muh mord gayi
Tu kyu be nishaan sa
Nishaan chod gayi tu
Ha Ho Gayi Galti Mujhse main jaanta hu
Par ab bhi tujhe main apni jaan manta hu
Jaan maanta hu
Ek aakhri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe apni shaan maanta hu
Shaan manta hu
Socha kuch pee kar tujhe bhula dunga
Par pee kar bhi yaad aayi tu
Itni si baat par chod gayi
Jaana hi tha to aayi kyu
Jeena mera asaan kar
Tu milke ye ehsaan kar
Yaad teri satati hai
Ab aaja baat maan kar
Jab aankhein band hoti hai
Bas tu sath hoti hai
Tere yaadon ke takiye pe
Bas raat meri soti hai, soti hai
Tu kyu door hai yun mujhse
Tujhe chahta hu pure dil se
Sun le meri aarzoo
Tu hi meri jaan hai
Tu hi mera jahaan hai
Tu hi hai sab kuch mera
Adhoora tere bin dil ye mera
Kyu tu samajhti nahi
Ye dil hai sirf tera
Haan ho gayi galti mujhse main jaanta hu
Par ab bhi tujhe main apni jaan maanta hu
Ek aakhri mauka de mujhe
Aaj bhi main tujhe apni shaan manta hu
Shaan maanta hu
Shaan maanta hu
Jaan maanta hu
Jaan maanta hu…