Hmm, mahkee see vo chaandanee, aankhen meri naa chhupee
sun ke uski guftagu saanson mein bhee hai chhupee
vo chhoo le jo mujh ko, bhula doon main khud ko
raaton mein khoyaa rahoon
vo chhoo le jo mujh ko, bhula doon main khud ko
raaton mein khoyaa rahoon
vo aayi, muskaai, thodee see vo ithlaai
aazmaana, sharmaana, nazaron se baathen bataana
teri gahari aankhon se, ankahe un vaadon se
haathon ko milaanaa hai, pal mein hee tham jaanaa hai
vo chhoo le jo mujh ko, bhula doon main khud ko
raaton mein khoi rahoon
mahkee see vo chaandanee...
nadi se, parvat se, baarish kee harakat se
meethi see mittee se, kaagaz kee chitthee se
chandan ke tukade se, malamal ke kapade se
paison kee noton se, album ke photo se
gaanv kee naharon se, chamkile shaharon se
chaay kee chuskee se, thandi ek kulfi se
Mummy kee coffee se, bachapan kee toffee se
maachis ke packet se, paapaa ke jacket se
phulon kee chaddar se, shaikhon ke attar se
Cigarette ke dhuen se, gahare ek kuen se
dariyaa kee reton se, ganne ke kheton se
bad kar mahake hai too
khushboo mein teri jo kho doon main khud ko
khaamoshiyon mein kheluun
vo chhoo le jo mujh ko, bhula doon main khud ko
raaton mein khoyaa rahoon
mahkee see vo chaandanee, aankhen meri naa chhupee
sun ke uski guftagu saanson mein bhee hai chhupee
vo chhoo le jo mujh ko
yaadon mein khoyaa rahoon
raaton mein khoyaa rahoon