Writer(s): Anu Malik, Javed Akhtar
Hoho…
Hoho…
Sandese Aate Hain
Humein Tadpaate Hain
To Chitthi Aati Hai
To Pooche Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Sandese Aate Hain
Humein Tadpaate Hain
Jo Chitthi Aati Hain
To Pooche Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Kisi Dilwaali Ne Kisi Matwaali Ne
Humein Khat Likkha Hai
Ke Humse Poochha Hai
Kisi Ki Saason Ne Kisi Ki Dhadkan Ne
Kisi Ki Choodi Ne Kisi Ke Kangan Ne
Kisi Ke K e Ne Kisi Ke G e Ne
Mahekti Subahon Ne Machalti Shaamo Ne
Akeli Raaton Ne Adhoori Baaton Ne
Tarasti Baahon Ne
Aur Pooccha Hai Tarsi Nighahon Ne
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Ye Dil Soona Soona Hai
Sandese Aate Hain
Humein Tadpate Hain
To Chitthi Aati Hai
To Pooche Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Mohabbat Walon Ne Hamare Yaaron Ne
Humein Ye Likkha Hai
Ke Humse Poochha Hai
Hamare Gaaon Ne Aam Ki Chaaon Ne
Puraane Peepal Ne Baraste Baadal Ne
Khet Khaliayanon Ne Hare Maidaanon Ne
Basanti Belon Ne Jhoomti Belon Ne
Lachakte Jhulon Ne Behekte Phoolon Ne
Chatakti Kaliyon Ne
Aur Poochha Hain Gaaon Ki Galiyon Ne
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Gaaon Soona Soona Hai
Sandese Aate Hain
Humein Tadpate Hain
To Chitthi Aati Hai
To Pooche Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
Hooo....
Hooo....
Kabhi Ek Mamta Ki
Pyaar Ki Ganga Ki
Jo Chitthi Aati Hai
Saath Wo Laati Hai
Mere Din Bachpan Ke
Khel Wo Aangan Ke
Wo Saaya Aanchal Ka
Wo Teeka Kaajal Ka
Wo Lori Raaton Mein
Wo Narmi Haathon Mein
Wo Chaahat Aankhon Mein
Wo Chinta Baaton Mein
Bigadna Oopar Se Mohabbat Andar Se
Kare Wo Devi Maa
Yahi Har Khat Me Poochhe Meri Maa
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Aangan Soona Soona Hai
Sandese Aate Hain
Humein Tadpate Hain
To Chitthi Aati Hai
To Pooche Jaati Hai
Ke Ghar Kab Aaoge
Ke Ghar Kab Aaoge
Likho Kab Aaoge
Ke Tum Bin Ye Ghar Soona Soona Hai
(hooo...)
Ay Guzarne Waali Hawa Bata
Mera Itna Kaam Karegi Kya
Mere Gaaon Ja Mere Doston Ko Salam De
Meri Gaaon Mein Hai Jo Wo Gali
Jahaan Rehti Hai Meri Dilruba
Usay Mere Pyaar Ka Jaam De
Usay Mere Pyaar Ka Jaam De
Wahin Thodi Door Hai Ghar Mera
Mere Ghar Mein Hai Meri Budhi Maa
Mere Maa Ke Pairon Ko Chhooke Tu
Usay Uske Beta Ka Naam De
Ay Guzarne Waali Hawa Zara
Mere Doston Meri Dilruba
Meri Maa Ko Mera Paiyam De
Unhe Jaake Tu Ye Paigam De
Main Waapas Aaoonga
Main Waapas Aaoonga
Phir Apne Gaaon Mein
Usiki Chaaon Mein
Ke Maa Ke Aanchal Se
Gaaon Ke Peepal Se
Kisike Kaajal Se
Kiya Jo Waada Tha Wo Nibhaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga
Main Ek Din Aaoonga