Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon
Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon
Kisi zubaan mein bhi, wo labz hi nahi
Ki jin mein tum ho
kya, tumhe bata sakoon
Main agar kahoon, tumsa haseen
Qaynaat mein, nahi hai kahin
Tareef yeh bhi toh,
sach hai kuch bhi nahi
Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
Shokhiyon mein doobi yeh adaayein
Chehre se chalki huyi hai
Zulf ki ghani ghani ghatayein
Shaan se dhalki huyi hai
Lehrata aanchal, hai jaise baadal
Baahon mein bhari hai jaise chandni,
Roop ki chandni
Main agar kahoon ,yeh dilkashi
Hai nahi kahin, na hogi kabhi
Tareef yeh bhi toh,
sach hai kuch bhi nahi
Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
Tum huye meherbaan, to hai ye daastaan
Ho.. tum huye meherbaan,
to hai ye daastaan
Abb tumhara mera ek hai kaarwaan
Tum jahan, main wahan.....
Mail...
Main agar kahoon, humsafar meri
Apsara ho tum, ya koi pari
Tareef yeh bhi toh,
sach hai kuch bhi nahi
Tumko paaya hai to jaise khoya hoon
Kehna chahoon bhi to tumse kya kahoon
Kisi zubaan mein bhi, wo labz hi nahi
Ki jin mein tum ho
kya, tumhe bata sakoon
Main agar kahoon, tumsa haseen
Qaynaat mein nahi hai kahin
Tareef yeh bhi toh,
sach hai kuch bhi nahi