Mustafa Jaan E Rehmat
Pe Laakho Salaam
Shamme Bazme Hidayat
Pe Laakho Salaam
Shamme Bazme Hidayat
Pe Laakho Salaam
Shab E Asra Ke Dulha
Pe Da-im Durood
Nausha E Bazme Jannat
Pe laakho Salaam
Shehre Yaare Iram
Tajdaare Haram
Nau Bahaar E Shafa’at
Pe Laakho(n) Salaam
ALLAH ALLAH Wo
Bachpane Ki Phaban
Us Khuda Bhaati Surat
Pe Laakho(n) Salaam
Jis Suhani Ghadi Chamka
Taibah Ka Chaand
Us Dil Afroz Sa’at Pe
Laakho(n) Salaam
Hum Ghareebo Ke Aaqa
Pe Behad Durood
Hum Faqeeri Ki Sarwat
Pe Laakho(n) Salaam
Mustafa Jaan E Rehmat
Pe Laakho Salaam
Shamme Bazme Hidayat
Pe Laakho Salaam
Patli Patli Ghul E Quds
Ki Pattiya
Un Labo(n) Ki Nazakat
Pe Laakho(n) Salaam
Nichee nazron Ki Sharmo
Haya Par Durood
Unchi Beene Ki Rifa’at Pe
Laakho(n) Salaam
Duur O Nazdeek Ke
Sunne Waale Wo Kaan
Kaan E La’le Karamat
Pe Laakho(n) Salaam
Wo Dahan Jiski Har Baat
Wahee E Khuda
Chashma E Ilmo Hiqmat
Pe Laakho(n) Salaam
Wo Jabaa(n) Jisko Sab
Kun Ki Kunji Kahe
Uski Naafiz Huqumat
Pe Laakho(n) Salaam
Jisko Baare Do Aalam
Ki Parwah Nahi
Aise Bazoo Ki Quvvat
Pe Laakho(n) Salaam
Jiski rangath se berange gaye
Uski chamak wali rangath
Pe lakhon salaam
Jiski tasweer se rotay
Huvey haspadey
Us tabassum ki aadath
Pe lakhon salaam
Jiske Mathe Shafa’at Ka
Sehra Raha
Us Jabeen E Sa’adat Pe
Laakho(n) Salaam
Lailatul Qadr Me Matlail
Fajre Haq
Maang Ki Istiqamat Pe
Laakho(n) Salaam
Haath Jis Samt Utha
Ghanee Kar Diya
Mouje Behre Sama’at
Pe Laakho(n) Salaam
Jiss Taraf Uth Gayi Dam
Me Dam Aa Gaya
Jiss Taraf Uth Gayi Dam
Me Dam Aa Gaya
Us Nigah E Inayat Pe
Laakho(n) Salaam
Mustafa Jaan E Rehmat
Pe Laakho Salaam
Paar-Haye Suhuf
Ghuncha E Qudus
Ahle Bait E Nubuvvat
Pe Laakho(n) Salaam
Wo Daso Jinko Jannat
Ka Muzda Mila
Uss Mubarak Jama’at Pe
Laakho(n) Salaam
Ahle Islaam Ki Maadarane Shafeeq
Baanuvane Tahaarat Pe
Laakho(n) Salaam
Shafa’e Maaliki Ahmad
Imam E Haneef
Chaar Baagh E Imamat
Pe Laakho(n) Salaam
Ghouse Aazam Ima
Muttuka Wannuka
Jalwa E Shaan E Qudrat
Pe Laakho(n) Salaam
Mustafa Jaan E Rehmat
Pe Laakho Salaam
Be Azaabo Aetaabo
Hisaabo Kitaab
Ta Abad Ahle Sunnat
Pe Laakho(n) Salaam
Mere Ustaad Maa-Baap
Bhai Behen
Ahle Wuldo Ashirat Pe
Laakho(n) Salaam
Ek Mera Hi Rehmat Me
D’awa Nahi
Shah Ki Saari Ummat Pe
Laakho(n) Salaam
Kaash Mehshar Me Jab
Unki Aamad Ho Aur
Bheje Sab Unki Shouqat
Pe Laakho(n) Salaam
MUrshidi shah ahmad razaqa raza
Faizey ya aabe kamalatey hasa raza
Saath akhtar ho zam zama
Mujhse Khidmat Ke Qudsi
Kahe Haa Raza
Mustafa Jaan E Rehmat
Pe Laakho(n) Salaam
Shamme Bazme Hidayat
Pe Laakho Salaam