Kayar jo the, vo shayar bane
Ab kya kya karein ye ishq mein
Na kehte the kuch jo, lage khoj mein
Kya lafz chune?
Naye aashiq ye, ishq mein tere hain faiz bane
Arz kiya hai
Humne bhi likha kuch tere baare mein
Aise tu lage ki gulaab hai
Aur aise tu lage ki gulaab hai
Baghon mein dil ke
Khilke in fizaaon mein chhaye ho haaye
Aur vaise hum to tere hi gulaam hain
Aur vaise hum to tere hi gulaam hain
Baadshah dil ke, teri baazi mein
Jo tu chahe to…
Doobe dilon ki kya nau banu?
Main khud tar paaoon na aankhon mein
Shayar ki fitrat mein hi doobna
Main kya hi ladu toofanon se
Ishq mein tere hain faiz bane
Arz kiya hai
Humne bhi likha kuch tere baare mein
Haathon ko sambhaale mere haathon mein
Kaise haathon ko sambhaale mere haathon mein?
Jab tak neend na aaye in lakeeron mein
Baatein hon…
Haan…
Sabne to sab keh diya hai
Kya hi kahoon jo abhi bhi ankaha hai?
Main haay…
Na Mirza, na Mir
Na maahir, na zaahir
Karoon kuch naya main?
Haay… par…
Jo bhi likha hai, jiya hai
Haan jiya hai
Aise, aise, aise, kaise, vaise, jaise
Jaise main padhun mere dil mein jo
Meri aankhen bhi padhein teri aankhon ko
Kya ye mehfil mein baithe?
Ya uthe daud jaane ko? haaye
Teri aankhon mein taarifon ki talaash hai
Meri mehfil tere jaane se veeraan hai
Main bas shayar bana hoon
Sirf tu sunne aaye to…
Shayad shayar bana hoon
Sirf tu sunne aaye to