menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Idhar Zindagi Ka Jinazaa

Atta Ullah Khan Esakhelvihuatong
nwilliams692huatong
Lirik
Rekaman
Hum to tinkay

Chun rahay thay aashiynay k liyeah

Aap say kiss nai kaha bijli giranay k liyeah

Haath thak jain gay

Kiyoon pees rahay ho mehndi

Khoon haazir hai hatheli pay laganay k liyeah

Ishq ko dard e Sir kehnay walaoon suno

Kuch bhi ho hum nai yeah dard e Sir lay liya

Woh nigaahon say bach ker kahan jain gay

Ub to un k mohallay mein ghar lay lia

Aa'ye bun thun k shehr e khamooshaan mein wo

Qabr daikhi jo meri to kehnay lagay

Aray aaj itni to is ki taraqqi howi

Aik bayghar nai acha sa ghar lay lia

Idhar zindagi ka

Janaza uthay ga

Udhar zindagi un ki dulhan banay gi

Qayamat say pehlay qayamat hai yaaro

Mairay samnay meri dunya lutay gi

Idhar zindagi ka

Jawani pay meri sitam dhanay waloon

Zara sooch lo kia kahay ga zamana

Jawani pay meri sitam dhanay waloon

Zara sooch lo kia kahay ga zamana

Kahay ga zamana

Idhar miaray armaan kafan pehn lain gay

Udhar un k haathon pay mehndi lagay gi

Idhar zindegi ka

Azal say mohabbat ki dushman hai dunya

Kaheen do diloon ko milnay na day gi

Azal say mohabbat ki dushman hai dunya

Kaheen do diloon ko milnay na day gi

Milnay na day gi

Idhar mairay dil per khanjar chalay ga

Udhar un k maathay per bindiya sajay gi

Idhar zindegi ka

Meri mot paari o ke zulmat main ho gi

Zanaja haseen o ke kadhe pe ho ga

Meri mot paari o ke zulmat main ho gi

Zanaja haseen o ke kadhe pe ho ga

Kadhe pe ho ga

Kafan mera ho ga unhi ka dupatta

Kafan mera ho ga unhi ka dupatta

Bari dhum se meri maiyat uthe gi

Idhar zindagi ka janaza uthay ga

Udhar zindagi un ki dulhan banay gi

Selengkapnya dari Atta Ullah Khan Esakhelvi

Lihat semualogo

Kamu Mungkin Menyukai