Maula mere mere khuda zara ye bata hui kya khata
Maangu bhi to kaisi dua bachpan mera kaha kho gaya
Maula mere mere khuda zara ye bata hui kya khata
Maangu bhi to kaisi dua bachpan mera kaha kho gaya
Maula mere majboor hu hissa tera par duur hu
Main jo chal raha teri raah par chikhe meri har aah par
Tu na sun raha kyu tu chup raha
Kya ye dard hai kyu tu sard he
Kaha ja rahi duniya meri kaha kho gayi mannat meri
Maula mere
Maula mere tera khoon hai baksha tera ye junun he
De hausala himmat mujhe aa jameen par tera haq mujhe
Maula mere zara gaur kar de de pyar ki ab ik najar
Sunn le zara arzi meri karle kabool marzi meri
Teri lau saji is aankh me tu hai nachta har shakh me
Har shae me tu kudrat teri kaha kho gayi mannat meri