Kahaan le chale ho, Bata do Musaafir
Sitaaron se aage, Yeh kaisa Jahaan hai
Kahaan le chale ho, Bata do Musaafir
Sitaaron se aage Yeh kaisa Jahaan hai
Khayalon ki manzil Ye Khwabon ki Mehafil
Samajh mein na aaye Ye duniya Kahaan hai
Kahaan reh gaye, Kaafile Baadlon ke
Kahaan reh gaye, Kaafile Baadlon ke
Zamin chhup gayi, Hai Tale Baadlon ke
Hai mujh ko yakeen ke hai,
Jannat yahin.nn
Ajab si fizaa hai, Ajab yeh Samaa hai
Kahaan le chale Ho, bataa do Musaafir
Sitaaron se aage, Yeh kaisa Jahaan hai
Nazar ki duaaa ka Jawaab aa Rahaa hai
Nazar ki duaaa ka Jawaab aa Rahaa hai
Meri Aarzoo pe Shabaab aa Rahaa hai
Yeh khamoshiyaan Bhi hain, Ik Daastan
Koi, kehtaa hai mujhse
Mohabbat jawaan hai
Kahaan le chale ho, Bata do Musaafir
Sitaaron se aage, Yeh kaisa Jahaan hai
Muhabbat bhari, Is Jahaan ki hain Raahen
Muhabbat bhari, Is Jahaan ki hain Raahen
Jinhen dekh kar, Kho Gayi hain Nigaahen
Yeh halki hawaa Laayi, Kaisa Nashaa Na,
Rahaa hosh itnaa, Mera dil Kahaan hai
Kahaan le chale ho, Bata do Musaafir
Sitaaron se aage, Ye kaisa Jahaan hai
Khayalon ki manzil,Ye khwabon ki Mehafil
Samajh mein na aaye,Ye Duniya Kahaan hai