Mere desh ki dhartiI
O mere desh ki dharti
Sona ugale ugale heere moti
Mere desh ki dharti
Bailon ke gale mein jab ghungaru
Jeevan ka raag sunaate hain
Ghum koson door ho jaata hai
Khushiyon ke kanwal
Muskaate hain
Hooo o o o o o o
Sun ke rahat ki awaazein
Sun ke rahat ki awaazein
Yun lage kahin shehnayi baje
Aate hi mast bahaaron ke
Dulhan ki tarah har khet saje
Mere desh ki dhartiI
O mere desh ki dharti
Sona ugale ugale heere moti
Mere desh ki dharti
Jab chalte hain is dharti pe hal
Mamtaa angdaiyaan leti hain
Kyun naa pooje is maati ko
Jo jeevan kaa sukh deti hain
Hooo o o o o o o
Is dharti pe jis ne janam liyaa
Is dharti pe jis ne janam liyaa
Usne hi paayaa pyaar teraa
Yahaa apnaa paraayaa koi nahin
Yahaa apnaa paraayaa koi nahin
Hain sab pe maa upkaar tera
Mere desh ki dhartiI
O mere desh ki dharti
Sona ugale ugale heere moti
Mere desh ki dharti
Ye baag hai gautam naanak kaa
Khilate hain aman ke phool yahaan
Gandhi subhash
Gandhi subhash taigor tilak
Aise hain chaman ke phool yahaan
Rang haraa hari singh nalwe se
Rang laal hai laal bahadur se
Rang bana basanti bhagat singh
Rang aman ka veer jawahar se
Mere desh ki dhartiI
O mere desh ki dharti
Sona ugale ugale heere moti
Mere desh ki dharti