tumhara chaahne waala
khuda ki duniyaa mein
mere siwaa bhi koi aur ho
khuda naa kare
tumhara chaahne waala
khuda ki duniyaa mein
mere siwaa bhi koi aur ho
khuda naa kare
tumhara chaahne waala
khuda ki duniyaa mein
ye baat kaise ganwaara
karega dil mera
tumhara zikr kisi aur ki
zabaan pe ho
tumhare husn ki taarif
aaina bhi kare
to main tumhari kasam hai
ke tod doon usko
tumhare pyaar tumhari
adaa ka deewana
mere siwaa bhi koi aur ho
khuda naa kare
tumhara chaahne waala
khuda ki duniyaa mein
wo din naa aaye ke
mujhse kabhi juda ho kar
kisi ka pyaar dobara
kahin talaash karo
jhuka ke sar ko kisi
ajnabee ke shaanon par
tum apne ghum ka
sahaara kahin talaash karo
kareeb dil ke tumhaare
kisi bhi haalat mein
mere siwaa bhi koi aur ho
khuda naa kare
tumhara chaahne waala
khuda ki duniyaa mein
tumaare dil ko
kabhi mujhse koi thes lage
mujhe yakeen hai
aisa kabhi nahin hoga
mujhe wafaaon pe apni bada
bharosa hai
tumhaara pyaar hi de jaaye naa
kahin dhoka
duwaa ye hai ke tumhara
khuda ki duniyaa mein
mere siwaa bhi koi aur ho
khuda naa kare
tumhara chaahne waala
khuda ki duniyaa mein
mere siwaa bhi koi aur ho
khuda naa kare