Araha hai woh
Jiska intezaar tha
Woh mera yaar
Wohi mera pehla pyaar tha
Aane ki khushbo uski
Duniya poori jesay
Pholoun se yeh bhar chuki
Bhar chuki
Pholoon si? ya woh pholoon ki?
Us mein baste hain kayi rang
Us mein basta hai jahan woh jesay
Jannat se ayi ho rehti asmaan pe
Chand ki surat mein
Chehra uska asmaan pe dekhoon roz mein
Maangoon phir dua mein aye khuda ke
Mujhe roz yeh dekhne ki dede tu taufeekh
I've been falling in love
Meray in pairoon taale thi joh woh zameen
Woh tou phat si gayi hai
Na umeedi ka yeh daur par dekhe
Roshni woh durr se
Tumhari surat yeh kisi ka tou gharror hai
Tum mein basta hai mera poora jahan
Phir bhi dekho na ajeeb bhagon durr mein
Bhagooon durr mein?
Tum se ya phir apne app se?
Tum ho samne tou ajati sharam
Woh ek jhalak
Joh mein dekhoon tumhe samne
Titliaan nazar mein haath bhi yeh kanp ke
Boolein ke uske paas ja aur naam le!
Uska naam tou nahi hai
Abhi ke liya raaz hai woh raat hai
Woh baat hai woh sath hai subha bhi
Din dhale tou phir bani woh shaam hai
Woh araam hai? ya phir kaam hai?
Sahi ghalat ka jaam hai?
Bhagon jiske peeche haan uss raaste ka
Ikhtetam hai? woah woah woah
Suno na baatein phir meri
Tum ho kabhi nahein yun akeli
Tum tou saroon se he rahi khaas ho
Dafan woh mera ek raaz ho
Andaaz ho?
Ya awaaz ho?
Dil o dimagh mein hota mehsos joh
Woh haseen bani ahsas ho (yeah yeah)
Sayione
Kyun tu jaane na kabhi?
Sayioneeeee
Teray bin jee nai lagta phir :(
Tou phir mein bhagon abb paharoon mein
Jahan mein majnu bana
Laila ke khayaloon mein
Sochta tha laila kesi hogi?
Jab se dekha tumhe
Jaana tum usse bhi haseen
Tu tou khuwab hai ek umeed hai
Tu jisko bhi ho mayaser
Woh kitna khush naseeb ho
Kya meri khushnaseebi?
Ke ajaoon qareeb mein? ajaoon qareeb
Araha hai woh
Jiska intezaar tha
Woh mera yaar
Wohi mera pehla pyaar tha
Aane ki khushbo uski
Duniya poori jesay
Pholoun se yeh bhar chuki
Bhar chuki