menu-iconlogo
huatong
huatong
avatar

Lagi Aaj Sawan Ki BY SANGEETA

Sangeetahuatong
jundrovhuatong
Lirik
Rekaman
Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai

Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai

Wohi aag phir seene mein phir jal padi hai

Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai

Kuchh aise hi din the woh jab hum mile the

Chaman mein nahi phool dil mein khile the

Wohi to hai mausam magar rut nahin woh

Mere saath barsaat bhi ro padi hai

Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai

Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai

Koi kash dil pe zara hath rakh de

Mere dil ke tukdon ko ek sath rakh de

Magar yeh hain khwabon khyalon ki baatein

Kabhi toot kar cheez koi judi hai

Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai

Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai

Wohi aag phir seene mein phir jal padi hai

Lagi aaj sawan ki phir woh jhadi hai

Selengkapnya dari Sangeeta

Lihat semualogo

Kamu Mungkin Menyukai