Main shaayer toh nahin
Main shaayer toh nahin
Magar aye haseen
Jab se dekha
Main ne tujh ko mujh ko
Shaayari aa gayee
Main shaayer toh nahin
Magar aye hanseen
Jab se dekha
Main ne tujh ko mujh ko
Shaayari aa gayee
Mainn aashiq to nahin
Magar aye haseen
Jab se dekhaa
Main ne tujh ko mujh ko
Aashiqi aa gayee
Main shaayer to nahin
Pyaar ka naam
Maine suna tha magar
Pyaar kya hai
Ye mujh ko nahin thi khabar
Pyaar ka naam
Maine suna tha magar
Pyaar kya hai
Ye mujh ko nahin thi khabar
Main to ulajha
Raha ulajhanon ki tarah
Doston main raha
Dushmanon ki tarah
Main dushman to nahin
Main dushman to nahin
Magar aye haseen
Jab se dekhaa
Main ne tujh ko mujh ko
Dosti aa gayee
Main shaayer to nahin
Sochata hoon agar main
Dua maangata
Haath apane uthaakar
Main kya maangata
Sochata hoon agar main
Dua maangata
Haath apane uthaakar
Main kya maangata
Jab se tujh se mohabbat
Main karane laga
Tab se aise ibaadat
Main karane laga
Main qaafir to nahin
Main qaafir to nahin
Magar aye haseen
Jab se dekha
Main ne tujh ko mujh ko
Bandagi aa gayee
Main shaayer to nahin
Magar aye hanseen
Jab se dekha
Main ne tujh ko mujh ko
Shaayari aa gayee
Main shaayer to nahin