menu-iconlogo
logo

AAJIZ

logo
Lirik
Ab jahan bhi hun, mein aajiz zamanay se

Qatil bhi hun mein jin k hawalay se

Shamil bhi hun mein shatir bahany se

Zahir krnga kisi fasanay se

Jantay naam na kisi flanay se

Puchty haal jo kbhi anjaanay thy

Thhook k chaat'tay kbhi jo baghi thy

Jinhe ghuroor tha apne ghranay se

Qalam tou shae'y haqeer lakeer jo maray tou chlay faqeer

Shareer se hathon ko kre ameer

Aseer jo kre ye dil ko

Baghi bna denge tu kbhi mil tou, baghi ye bolenge jese mein manto

Gandi zubaan pr saaf ye man tou!

Mandi c soch se jahil kr pin tou!

Dikhe adaa kaari zada kalaa kaari kum

Gunahgaari zada, khata kaari kum

Gunah bhaari zada, sazaa bhaari hum

Riyaa kaari zada na kren tou ghum

Siyaah saari soch, tu baalon ko noch

Tu hathon se apni lakeeron ko khoj

Tu baton se apne qareenay ko khoj

Tu raton mein apne khazeenay ko khoj

Tou milega tere bhi dil ko qaraar

Tou krega sagon mein tu bhi shumaar

Tou milega tjhe bhi thhorra ubhaar

Jo dilon ki pasti mein parray bimaar

Anaa ka fitoor, balaa ka ghuroor

Mijazi umoor ka kaif o suroor

Zameeni khudaon k vehm se choor

Pr rkhen bayaan pe poora Uboor

Mein saaf ab saanpon ko dekhun mazeed

Ye deeni labaday mein chhupay yazeed

Mein jaag k khwaab bhi dekhun shadeed

Mein jaagta aas mein, milay naveed

Ye faraq hai soch ka

Faraq ni sochta, tere or mere mein

Tu ne kmaya kya tu ne lgaya kya

Qala ne bol k tujhe sikhaya kya

Jb mehnat se jana hai agy tou faraq ni tera or mera hai kya?

Umeed ki roshni dikhe pr duniya mein teri andhera hai kya?

Or tera or mera hai kya?

Utho tou savera hai Kya?

Toofaano ki lehron se bnte jo badal, unpe basera hai kya?

Ab rkhun mein hosla, sabit qadam rehna seekha hai isi zmanay se

Hmesha se halat e jung mein, rhe na peechay hum kisi hawalay se

Mehnat darkaar hai, chaho jo madad o nusrat us rab k dahane se

Jo dekha, jo suna, jo kiya mehsoos wo likh k bta dya ganay se

AAJIZ oleh S.H.HAIDERI/Shehroz - Lirik & Cover