Prabhu veer ne mukti ka path dikhaya
Path ko humne hi panth banaya
Path ke upar ek bindu lagaya
Bindhu me uljhe sindhu bhulaya
Is panthvaad ne hume kahan tak pahunchaya
Kisse jeete hum humne kise haraya
Humne kise haraya
Rahe hum mahaveer ke hi bankar
Na shwetambar na digambar
Hum jain hain kaho hum jain hain
Rahe hum mahaveer ke hi bankar
Na shwetambar na digambar
Hum jain hain kaho hum jain hain
O lekr punya ka ye sagar
Janme jain kul ke andar
Hum jain hain kaho hum jain hain
Dharam se jain hain karam se jain hain
Santo ka grantho ka humne saar nahi jana
Anek mat bana diye anekant nahi jana
Jin vaani ka marm na jana
Priya unko hi hai dharm mana
Ye sant tera vo panth mera
Yugo me dekha hai ved gahra
Yugo me dekha hai ved gahra
Gyan ek hai ek hai darshan
Ek hai jhanda ek hai aagam
Satya ahinsa beej humare
Ek hi hain niyam ye saare
Ek hi hain niyam ye saare
Ek hi namokaar teerthankar
Na shwetambar na digambar
Hum jain hain kaho hum jain hain
Rahe hum mahaveer ke hi bankar
Na shwetambar na digambar
Hum jain hain kaho hum jain hain
Dharam se jain hain karam se jain hain
Om namo arihantanam
Namami veeram namami gautam
Om namo siddhanam
Kshama veerasya bhushnam
Om namo aaiyayam
Ahinsa parmodharm
Om namo ohhachhayaya
Jain dharamos manglam
Namo loe sab sahunam
Jainam jayati shasanam
Jainam jayati shasanam
Rahna pradeep shavak bankar
Na shwetambar na digambar
Hum jain hain kaho hum jain hain
Rahe hum mahaveer ke hi bankar
Na shwetambar na digambar
Hum jain hain kaho hum jain hain
Dharam se jain hain karam se jain hain