menu-iconlogo
logo

O Saaiyan

logo
Testi
Meri adhoori kahaani

Lo daastaan bann gayi

Ho Tune chhuaa aaj aise

Main kya se kya ban gaya

Sehme huey sapne mere

haule haule angdaiyaan le rahe

Thehre huey lamhe mere

nayi nayi gehraiyaan le rahe

Zindagi ne pehni hai muskaan

Karne lagi hai itna karam kyun na jaane

Karvat lene lage hai armaan phir bhi hai

Aankh num kyun naa jaane O Saiyyan…

Odhu teri kaaya

Solah sigaar main saja loon

Sangam ki ye raina isme

tyonhar main mana loom

Khushboo teri choo ke

kastoori main ho jaaun

Kitni pheeki thi main

sindoori main ho jaaun

Sur se zara behki huyi meri

duniya thi badi be suri

Sur mein tere dhalne lagi

Bani re piya main bani baansuri

Zindagi ne pehni hai muskaan

Karne lagi hai itna karam kyun na jaane

Karvat lene lage hai armaan phir bhi hai

Aankh num kyun naa jaane O Saiyyan…

Mere aasmaan se jo hamesha gumshuda thay

Chaand taare tune

garrdishon ki lay badal di

Laut aaye aaj saare…

O Saiyyan…

O Saaiyan di Ajay-Atul/Roop Kumar Rathod - Testi e Cover