Abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi
Jagi dhadkan nayi
Jaana zinda hoon main toh abhi
Kuch aisi lagan is lamhe mein hai
Ye lamha kahan tha mera
Ab hai saamne, ise chhoo loon zara?
Mar jaaun ya jee loon zara?
Khushiyan choom loon ya ro loon zara?
Mar jaaun ya jee loon zara?
Ho, abhi mujh mein kahin
Baaqi thodi si hai zindagi
Ho, dhoop mein jalte hue tan ko
Chhaaya ped ki mil gayi
Roothe bachche ki hasi jaise
Phuslaane se phir khil gayi
Kuch aisa hi
Ab mehsoos dil ko ho raha hai
Barson ke purane
Zakhm pe marham laga sa hai
Kuch aisa rehem is lamhe mein hai
Ye lamha kahan tha mera
Ab hai saamne, ise chhoo loon zara?
Mar jaaun ya jee loon zara?
Khushiyan choom loon ya ro loon zara?
Mar jaaun ya jee loon zara?
Dor se tooti patang jaisi
Thi ye zindgaani meri
Aaj ho, kal ho mera na ho
Har din thi kahaani meri
Ek bandhan naya
Peechhe se ab mujhko bulaaye
Aane waale kal ki
Kyun fikar mujhko sata jaaye
Ek aisi chubhan is lamhe mein hai
Ye lamha kahan tha mera
Ab hai saamne ise chhoo loon zara?
Mar jaaun ya jee loon zara?
Khushiyan choom loon ya ro loon zara?
Mar jaaun ya jee loon zara?