Deva shree ganesha..(x16)
Jwaala si jalti hai
Aankhon mein jiske bhi
Dil mein tera naam hai
Parwaah hi kya uska aarambh kaisa hai
Aur kaisa parinaam hai
Dharti ambar sitaare
Uski nazarein utaarein
Darr bhi uss se dara re
Jiski rakhwaliya re
Karta saaya tera
Deva shree ganesha..(x8)
Ho…
Teri bhakti to vardaan hai
Jo kamaaye woh dhanwaan hai
Bin kinare ki kashti hai woh
Deva, tujhse jo anjaan hai
Yun to mooshak sawaari teri
Sab pe hai pehredaari teri
Paap ki aandhiyaan laakh ho
Kabhi jyoti na haari teri
Apni taqdeer ka woh,
Khud sikander huaa re
Bhool ke yeh jahaan re
Jis kisi ne yahaan re
Saath paaya tera..
Deva shree ganesha..(x4)
Ho teri dhooli ka teeka kiye
Deva jo bhakt tera jiye
Usey amrit ka hai moh kya
Hans ke vish ka woh pyaala piye
Teri mahima ki chhaaya tale
Kaal ke rath ka pahiyaa chale
Ek chingaari pratishodh se
Khadi ravaan ki lanka jale
Shatruo’n ki qataarein ik akele se haare
Kann bhi parbat huaa re
Shlok bann ke jahaan re
Naam aaya tera hey!
Deva shree ganesha..(x8)
Ganpati bappa moreya
Ghalin lotangan vandin charan
Dolyani pahin rup tujhe
Deva preme alingan anande pujin
Bhave ovaleen mhane nama
Twameva mata cha pita twameva
Twameva bandhu sakha twameva
Twameva vidya dravinam twameva
Twameva sarvam mum dev deva
Kayena vacha manasendriyenva
Buddhyatmana va prakritiswabhavat
Karoomi yadhyath sakalam parasmai
Narayanayeti samarpayami
Achutam keshavam rama narayanam
Krishna damodaram vasudevam harim
Sridharam madhavum gopika vallabham
Janki naayakam ramachandram bhaje
Hare ram hare ram, ram ram hare hare..!!
Hare krishna hare krishna,
Krishna krishna hare hare!!!