menu-iconlogo
logo

Suraj Hua Maddham

logo
Testi
Sooraj hua maddham, chaand jalne lagaa

Aasmaan yeh, haaye, kyun pighalne lagaa?

Sooraj hua maddham, chaand jalne lagaa

Aasmaan yeh, haaye, kyun pighalne lagaa?

Main thahra raha, zameen chalne lagee

Dhadkaa ye dil, saans thamne lagee

Ho, kya ye mera pehlaa-pehlaa pyaar hai?

Sajnaa, kya ye mera pehlaa-pehlaa pyaar hai?

Sooraj hua maddham, chaand jalne lagaa

Aasmaan yeh, haaye, kyun pighalne lagaa?

Main thahri rahi, zameen chalne lagee

Dhadkaa ye dil, saans thamne lagee

Haan, kya ye mera pehlaa-pehlaa pyaar hai?

Sajnaa, kya ye mera pehlaa-pehlaa pyaar hai?

Hai khubsurat ye pal, sab kuch raha hai badal

Sapne haqiqat mein jo dhal rahe hain

Kya sadiyon se puraanaa hai rishta ye hamaaraa

Ki jis tarah tumse hum mil rahe hain

Yoon hee rahe har-dam pyaar ka mausam

Yoon hee milo humse tum janam-janam

Mm, main thahra raha, zameen chalne lagee

Dhadkaa ye dil, saans thamne lagee

Haan, kya ye mera pehlaa-pehlaa pyaar hai?

Sajnaa, kya ye mera pehlaa-pehlaa pyaar hai?

Tere hee rang se yoon main to rangi hoon, sanam

Pa ke tujhe khud se hi kho rahi hoon, sanam

O, maahiyaa, ve tere ishq mein

Haan, doob ke paar main ho rahi hoon, sanam

Saagar hua pyaasaa, raat jagne lagee

Sholon ke dil mein bhee aag jalne lagee

Main thahri rahi, zameen chalne lagee

Dhadkaa ye dil, saans thamne lagee

Kya ye mera pehlaa-pehlaa pyaar hai?

Sajnaa, kya ye mera pehlaa-pehlaa pyaar hai?

Sooraj hua maddham, chaand jalne lagaa

Aasmaan yeh, haaye, kyun pighalne lagaa?

Sajnaa, kya ye mera pehlaa-pehlaa pyaar hai?

Suraj Hua Maddham di Alka Yagnik/Sandesh Shandilya/Sonu Nigam - Testi e Cover