Jai ho jai ho Shankara
Aadi dev Shankara
Tere jaap ke bina
Chale ye saans kis tarah
Mera karm tu hi jaane
Kya bura hai kya bhalaa
Tere raaste pe main toh
Aankh moond ke chalaa
Tere naam ki jot ne
Saara har liya tamas mera
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara
Srishti ke janam se bhi
Pehle tera vaas tha
Ye jag rahe ya naa rahe
Rahegi teri aastha
Kya samay.. kya pralay
Dono mein teri mahaanta
Mahaanta.. mahaanta..
Seepiyon ki ontt main
Motiyan ho jis tarah
Mere mann mein Shankara
Tu basa hai uss tarah
Mujhe bharam tha jo hai mera
Tha kabhi nahin mera
Arth kya nirarth kya
Jo bhi hai sabhi tera
Tere saamne hai jhuka
Mere sar pe haath rakh tera
Namo Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath Shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara
Chandrama lalaat pe
Bhasm hai bhujaaon mein
Vastra baagh chhaal ka
Hai khadau paanv mein
Pyaas kya ho tujhe
Ganga hai teri jataaon mein
Jataaon mein
Jataaon mein
Doosron ke waaste
Tu sadaive hi jiya
Maanga kuch kabhi nahi
Tune sirf hai diya
Samudra manthan ka tha samay jo aa pada
Dwand dono lok me vishamrit pe tha chida
Amrit sabhi main baant ke
Pyaala vish ka tune khud piya
Namo Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara
Namo Namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Hey Triloknath shambhu
Hey Shivay Shankara
Namo namo ji Shankara
Bholenath Shankara
Rudradev hey Maheshvara
Rudradev hey Maheshvara
Rudradev hey Maheshvara